Qaafirana Lyrics By Arijit Singh

In waadiyon mein takra chuke hain
Humse musafir yun toh kayi
Dil na lagaya humne kisi se
Qisse sune hain yun toh kayi
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Khamoshiyon mein boli tumhari
Kuchh is tarah goonjti hai
Kaanon se mere hote huye wo
Dil ka pata dhoondhti hai
Beswadiyon mein beswadiyon mein
Jaise mil raha ho koi zaayka
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
La la la la
La la la la
Aha aha aha aha ha
Godi mein pahadiyon ki ujli dopahari guzaarna
Haaye haaye tere saath mein achchha lage
Sharmeeli akhiyon se tera meri nazrein utaarna
Haaye haaye har baat pe achchha lage
Dhalti huyi shaam ne
Bataaya hai ki door manzil pe raat hai
Mujhko tasalli hai ye
Ki hone talak raat hum dono saath hain
Sang chal rahe hain
Sang chal rahe hain
Dhoop ke kinaare chhaaon ki tarah
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai
Hmm aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya kya hai