Khwaab Dekhoon Lyrics By Arijit Singh

Khwaab dekhoon ya na dekhoon
Laapataa main, laapataa tu
Khwaab dekhoon ya na dekhoon
Laapataa hun ye bataa tu oh ho
Ho, hai agar ye khwaab to ye khwaab na toote kabhi
Ab to nahin hona judaa
Ho neend se jaagun na main aur chahaton ka daur ye
Chalta rahe yun hi sadaa
Aaj dil se jee hai lena
Haan magar ye raay dena
Khwaab dekhoon ya na dekhoon
Laapataa main, laapataa tu
Khwaab dekhoon ya na dekhoon
Laapataa hun ye bataa tu oh ho
Ho chand sirhaane tale aur baadlon ki chaadarein
Chal oadh ke so jaayenge
Ho ye tamanna hai teri baahon ke ghere mein kahin
Do chaar pal kho jaayenge
Ishq mein hu shayarana
Haan magar tu ye batana
Khwaab dekhoon ya na dekhoon
Laapataa main, laapataa tu
Khwaab dekhoon ya na dekhoon
Laapataa hun ye bataa tu oh ho